Namaz Ke Aham Masail – Har Musalman Ke Liye Zaroori Maloomat
Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem Namaz Islam ka bunyadi rukn hai. Lekin aksar log namaz ada karte hue choti choti ghaltiyan kar dete hain jin ki wajah se namaz na-mukammal ya na-maqbool ho sakti hai۔ Is post mein hum namaz ke aham masail asaan Roman Urdu mein bayan kar rahe hain۔ Namaz Ke Farz Masail Namaz ke yeh farz hain, jin ke baghair namaz sahih nahi hoti: Taharat (wazu ya ghusl) Kapron aur jaga ki paaki Qibla rukh hona Waqt ka hona Niyyat Takbeer-e-Tehreema Qayam, Ruku, Sajda Aakhri Qaida 👉 Agar farz chhoot jaye to namaz dobara parhna zaroori hota hai۔ Namaz Ke Sunnat Masail Takbeer ke waqt haath uthana Sana parhna Ruku aur sajde mein tasbeeh kam az kam 3 martaba Salam daen aur baen dono taraf Sunnat chhoot jaye to namaz ho jati hai lekin sawab kam ho jata hai۔ Namaz Mein Aam Ghaltiyan Yeh ghaltiyan aksar log karte hain: Jaldi jaldi ruku aur sajda karna Sajde mein paon zameen se uthana Ruku mein peeth seedhi na rakhna Khayalat mein gum ho jana Mobile ya duniya ki baaton ka kha...